Kostenlose Counter von Counterstation

© 2005
All rights reserved

KYON HAWA

Intro spoken by

YASH CHOPRA



Ek din jab savere savere, surmayi se andher ki chaadar hata ke ek parbat ke takiye se, sooraj ne sar jo uthaaya, toh dekha

Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai aur yaadon ki daaliyon par anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain.

Ankahi ansuni aarzoo, aadhi soyi huwi aadhi jaagi huwi aankhein malte huwe dekhti hai, laher dar laher mauj dar mauj, behti huwi zindagij jaise har ek pal nayi hai, aur phir bhi wahi, haan, wahi zindagi jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai, koyi hasrat bhi hai paas aana bhi hai, door jaana bhi hai, aur ye ehsaas hai waqt jharne sa behta huwa, jaa raha hai, ye kehta huwa

Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai aur yaadon ki daaliyon par anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain.

End intro
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Kyun fiza, rang chhalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chaandni, din mein kyun, chhaa rahi hai
Zindagi, kis taraf jaa rahi hai

Mere dil bata kya hai ye silsila
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

Jahaan tak bhi jaayein nigaahein,
baraste hain jaise ujaale
Saji aaj kyun hain ye raahein,
khile phool kyun hain niraale
Khushbuwein, kaisi ye beh rahi hain
Dhadkanein jaane kya keh rahi hai

Mere dil bata ye kahaani hai kya
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

Ye kiska hai chehra jisse main,
har ek phool mein dekhta hoon
Ye kiski hai awaaz jisko,
na sun ke bhi main sun raha hoon
Kaisi ye aahatein aa rahi hain,
kaise ye khwaab dikhla rahi hain

Mere dil bata kaun hai aa raha
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

See the English translated lyrics

~~~~~~ My personal Rating: ~~~~~~